Laash Qabr se nikal kar zameen ke upar
Urdu Translation:
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh pahley Esaayee ( Christian) tha , phir wo Islam mein Dakhil ho gaya tha , usney Surah baqra aur Aal-e-Imran par li phir wo Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ka munshi ( unkey liye likhney wala) ban gaya , phir wo shaksh murtad ho gaya aur Esaayee ban gaya aur kahney laga ki Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko jo kuch mainey likh diya hai uskey siwa unhey kuch bhi malum nahi , phir Allah ke hukm se usey Maut aa gayee, aur uskey aadmeeyon ne usey dafan kar diya jab subah huyee to sabney dekha ki uski laash Qabr se nikal kar zameen ke upar pari hai, Eesaeeyon ne kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam ) aur uskey saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isney chor diya tha, isliye unhoney iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhoney dusri Qabr khodi jo bahut ziyada gahri thi, lekin jab subha huyee to phir laash bahar thi is baar bhi unhoney yahi kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam ) aur unkey saathiyon ka kaam hai , kyunki uska deen isney chor diya tha, isliye unhoney iski Qabr khodi hai, aur laash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhoney Qabr khodi aur jitni gahri unkey bas mein thi karkey uskey andar daal diya, lekin subah huyee to phir laash bahar thi, ab unhey yakeen aa gaya ki ye kisi insaan ka kaam nahi ( bulki ye mayyat Azab-e-ilahi mein giraftar hai) phir unhoney isey yu hi (zameen par) daal diya Sahih Bukhari, Fazilaton ka Bayan, 3617

No comments:
Post a Comment