MENU

Sunday, 16 September 2012

Quran Majeed Main Shuhada Ki Hayat Ka Ziker He

Quran Majeed Main Shuhada Ki Hayat Ka Ziker He Shuhada Bhee Allah K Wali Shumar Hotay Hain.
Alquran :
"Jo Khuda Ki Rah Main Mare Jayen Unhain Murda Na Kaho Balkay Woh Zinda Hain Haan Umhain Khaber Nahi"
( Soora Baqara , Ayat 154 , Para 2 )
Olya Allah Ki Rooh Wisaal K Baad Dubara Un K Ijsaam Main Lota Di Jati He Is Se Mutaliq Ulmaa Islaam Ke Aqwaal Mulahiza Hain Imam Mulla Ali Qari"Shara Mashko" Ma
in Likhtay Hain OlyaAllah Ki Hayat Wo Amlyat Dono Halton Main Koi Aslan Faraq Nahi , Islye Kaha Gaya He K Woh Martay Hain Balkay Aik Ger Se Doosrey Gher Tashreef Le Jatay Hain Qari Sana Ullah Pani Pti Apni Kitab Tazkara Almota Main Likhtay Hain Olya Allah Ka Farman He K Hamari Roohain Hamarey Jisam Main Hain In Ki Arwaah Jismon Ka Kaam Dya Karti Hain Imam Abi Dunya Ne Malik Se Riwayat Ki He K Olya Allah Ki Arwah Wisaal K Baad Jahan Chahti Hain Sair Karti Hain Haq Tala In K Jismo Ko Roohon Ki Quwat AtaFermata He To Woh Qabron Main NamazAta Kertey Hain Or Quran Parhtay Hain "Kitaab Tazkaralmota , Fatawa Rizwiya"

7 comments:

Anonymous said...

Aur jo Khuda ki Raah me Maare jaaye unhe Murda na kaho balke wo Zinda hain, han tumhe khabar nahi.
[Surah Baqara, Verse: 154]
Aur Allah Azzawajal ko apni qasmon ka Nishana Na Bana Lo.
[Para 2, Surat Albaqara, Verse 224]
Aur jab unke paas ALLAH ki wo kitaab (QURAN) aai jo unke saath wali kitaab (TAURET) ki tasdik farmaati hai, Aur is se pehle wo usi nabi ke WASEELE se kafiron par fatah maangte the, To jab tasrif laaya unke paas wo jaana pehchaana us se munikir ho beithe, To ALLAH ki la'anat munkiron par
[S.BAKRAH: 89]
Jisne laan Insaan ka Qatl kiya, Goya usne Tamaam Insaan'a ka Qatl kiya, Jisne lisi Insaan ki Jaan Bachaayi, Goya usne Tamaam Insaan'aon ki Jaan Bachaayi.
[Surah-e-Maida, Ayaat No: 32]
Jo tum par ziyadati kare us par ziyadati karo Utni hi jitni Usne Ki, Aur ALLAH se darte raho Aur jan rakho to GOD than to saath he
[S.BAKRAH: 194]
Ye Aakhirat ka ghar ham unke liye karte hai jo zameem mein TAKABBUR nahi chaahate aur na fasaad, Aur Aakibat Parhezgaron hi ki hai.
[CASE POST: 83]
Aur imaanwalon ko khus-khabri do ke unke liye ALLAH ka badaa fazl hai. Aur KAFIRON AUR MUNAFIQON ki khusi na karo aur unki IZAA par Darguzar farmaao aur ALLAH par BHAROSAA rakho aur ALLAH bas hai kaarsaaz.
[SURAH AHZAAB (33): 48]
Jisne Apne Nafs Ko Paak Rakha Wo Muraad Ko Pohcha, Or Jisne Use Khak Me Mila Diya Wo Khasare Me Raha.
[AL SHAMS: 9, 10]
Dojakh k log jannat walo ko pukarenge k kuch thoda sa pani hum par daal do ya jo rizq ALLAH ne tumhe diya hai us hi main se kuch phenk do, wo jawab denge ALLAH ne ye dono cheezen un munkirine haq par haram kar di hain, jinhone apne deen ko khel aur tafreeh bana liya tha aur jinhe duniya ki zindagi ne fareb main muqtala kar rakha tha.
[Surah Alaraf RUKOOH: 06]
Aur jise ALLAH RAAH dikhaana chahe uska seena ISLAAM ke liye khol deta hai,
[SURAH ANA'AM (6): 125]
Aur Tuje Kya Maloom K Aisi Aag Kya Hogi, Wo ALLAH Ki Sulgai Hui Aag Hogi Jo Dilon Par Chadte Chali Jayegi
[Humaza: 5-7]
Apne RAB se Two with GidGidaate aur Aahistaa, Beshak Had se badhne walen use pasand nahi. aur zamin me fasaad na failaao.
[SURAH A'ARAAF (7): 55 56]
Woh jo NAMAAZ kaaim rakkhe aur hamaare diye se kuchh hamaari raah me kharch kare. Yahi sachhe MUSALMAAN hai.
[ANFAAL SURAH (8): 3-4]






( Soora Baqara , Ayat 154 , Para 2 ) is me likha hai humein khaber nahi to Qari sahab ko kaise maloom

Anonymous said...

Shaheed Log Duniyah me zinda nahi Jannat me zinda rahte hy

–>>Allah S.w.t Farmate hy “Or Allah ki rah may qatl kye gae shuhadaa ko murda na kaho, wo zinda hain magr tum Nahi samajhtay.”
[surah Al-Baqarah, surat 02, Ayat.154]

—>>Sahih Muslim may or deegar sahih rivayaaat may RasulAllah (S.A.W) Ka farman hai,

“Shaheedon ki roohen (Jannat me) sabz rung k parindon k seeno may hoti hai aur jannat main jis jaga chahen charti, chugti, urti phirti hain. Phir in qandeelon may aa ker beth jati hain jo arsh k neechay latak rahi hain, in k rab ne aik dafa inhen dekha or in say daryaaft kia k ab tum kia chahtay ho? Onhon nay jwab dia,

‘Allah tu nay to humay wo wo day rakha hai jo kisi ko nhi dia phir hamain kis cheez ki zaroorat hogi?’ Insay phir yehi swaal hua. Jab onho ne dekha k ab hamain koi jawaab dena hi hoga to kaha,

‘Ae Allah! hum chahtay hain k too hamain dobara dunya main bhaij day hum teri rah may phir larain phir shaheed ho kr teray paas aaen or shahaadat ka dugna darja paen’

Allah (subhanahu wata’ala) ne farmaya,

‘yeh nhi hosakta yeh to main likh chukka hun k koi bhi marnay k bad dunya ki taraf palat ker nhi jaega. koi or bat ho tou batlao’,

phir shuhda ne jawab dya,

‘phir dunya walon ko or humaray aziz-o-aqarab ko is bat say mutla kerdia jae k hum yahan kis qadr khush hain, or her tarah ki ne’maton say lutf andoz ho rahay hain’,

Allah (s.wt) ne farmaya,

‘han yeh ittila kiye deta hoon’

[chuna cheh is silsilay main mazkoora ayatain (yani surah Aali-Imran ayat 169) nazil hui.]”

[Sahih Muslim, kitab Al-Imarah: baab beyan arwaahu-sshuhada fil-jannah, [020:4651] ]

—>> Maloom hwa k shaheedon ki roohen dunya may Nahi bhatak rahin bul k jannat k mazay loot rahi hain. Or kisi ko bhi inteqaal k bad dobara dunya main aanay ki ijaazat nhi.

Shahzayn said...

Janab katal rooh ka hota hai ja jism ka?...._agar jism ka hota hai to Shaheed obviously zindah hain...but hamain wo zindah mehsoos nahi hota

Sultan raza said...

Beshaq tu jahil hai ..Anonymous

Unknown said...

Allah keh rha hai voh zinda hain tumhe khabar nhi tum murda mat kaho..yha baat khatm hoti h ..jahil insan

Anonymous said...

Al shams nai hai wo ash shams hai aur wo verse bhi alag hai ayat bhi alag hai tumhe kuch nai pata sahi se to Kya kuch bhi galat likh rahe ho

Anonymous said...

Kuch bhi abey kyun mazaq bana rahe ho Islam ke saath ..... Kuch bhi tarjume ki tashree kar dete ho ... Abhi wo 3 hote to tumhara tashree kuch or hoti